Monday, July 23, 2018

IPS officer kaise bane puri jankari hindi me

IPS yaani ki "indian police service", jo bahot badi post hai aur bahot sare logo ka sapna IPS officer banana hota hai unme se kuch log IPS officer banane ka sapna pura karte hai aur kuch log puri jankari naa hone ki vajah se apna IPS officer banane ka sapna pura nahi kar pate to aaj hum baat karne vale hai ki ek IPS officer banane ke liye kya kya jaruri hai aur kya kya karna chahiye.

IPS officer kaise bane
IPS officer

Post me cover kiye gaye topics

* IPS officer kaise bane?

* IPS officer banane ke liye kya kya yogyata honi chahiye?

* IPS officer banane ke liye kounse exame aapko dene hoge?

* IPS officer banane ke liye sharirik yogyata kya honi chahiye?


To aaj hum uper diye gaye topics ke uper baat karege to chaliye sharu karte hai.

IPS officer banane ke liye sharirik yogyata kya honi chahiye?

~> purusho ke liye hight kam se kam 165 cm honi chahiye aur agar aap SC/OBC candidates hai to 160 cm honi chahiye iske alava 80 cm chest yaani ki seena hona chahiye.

~> Mahilaon ki baat ki jaye to kam se kam 150 cm aur agar SC/OBC category Mahilaon ke liye kam se kam 145 cm hight honi chahiye aur 79 cm chest.

~> eyes ki baat ki jaye to thik aakho ka vision 6/6 yaa 6/9 hona chahiye aur weak aakho ka vision 6/12 yaa 6/9 hona chahiye.

IPS officer exame eligibility

~> IPS officer banane ke liye aapki umra 21 se 30 saal ki umra honi chahiye aur haa SC/ST candidates ke liye 5 saal ki chhut hai.

~> aapke pass Bachelor degree honi chahiye kisi bhi field me.

~> IPS officer ki exame ko india, nepal aur bhutan ke log de sakte hai.


IPS officer banane ke liye kya kya kare.

1) Sabse pehle aapko 12th pass karna hoga aap kisi bhi subject me pass kar sakte hai science, commerce ya arts yaani ki total mila kar aapko 12th pass karna hoga.

2) dusra yah ki aapko graduation pass karna hai kisi bhi subject me, IPS ki exame dene ke liye graduate hona bahot jaruri hai.

3) UPSC exame ke liye apply kare IPS aur anya exame dene ke liye UPSC exame deni bahot jaruri hai aur yah exame bahot hard hoti hai.

Jab aap graduation ke 3rd year me ho tab aap is exame ke liye apply kar sakte hai aur jaise hi aap is exame ke liye apply karoge to aapko 3 exame ko clear karna hoga,

pehla hai preliminary exame :- is exame me aapko 2 paper dene hote hai jo ki option vale hote hai yaani ki dono paper mila kar 200 marks ki aapko exame deni hoti hai.

dusra hai main exame:- the preliminary exame clear karne ke baad aapko main exame dena hota hai isme aapko 9 paper dene hote hai aur iske sath aapko interview bhi dena hota hai is exame me aapko bahot dhyan dena padta hai.

teesra aur akhari hai interview :- dono hi exame clear hote hi aapko personally interview ke liye bulaya jata hai aur yah interview 45 min. Ka hota hai.

4) Ye teen exame clear karne ke baad aapko bheja jata hai training ke liye aur aap ban jate hai IPS officer training ke liye aapko masuri aur haidrabad jaise shahar me bheja jata hai training khatma hote hi aapko posting di jati hai aur aap ban jate hai IPS officer.

also read:


Last word :- 
To aapko aisi hi job aur Business se related jankari chahiye to humare is blog ko subscribe karna naa bhule aur comment karke jarur bataye ki aapko ye jankari kaisi lagi aur kya hume aaage koi aisi baat hai jo dhyan me rakhni chahiye? To comment jarur kare.

No comments:

Post a Comment