Thursday, December 6, 2018

blogger ki value kam kyu ho rahi hai? Blogging kaise kare top tips and idea

aaj ham ek bahut hi important topic par bat karne ja rahe hai kya aapko nhi lagta hai ki jab se jio 4g speed aaya hai tab se bloggers ki value kam hoti ja rahi hai ji ha aapne sahi suna hai aaj ham issi topic ko lekar descution karenge ki ab hame kya karna chahiye kya bloggers ka zamana khatam hogya hai kya aane wale samay me bloggers ka nam mit jayenga ye kuch sawal hai jiske bare me bahut sare logo ne mujhe massage karke pucha hai to aayiye iske bare me thodi bahut bate karte hai .

bloggers value down
bloggers value down

Blogggers Ki Value Kya Youtube Ki Wajah Se Kam Ho Rahi Hai ?


iska jawab lagbhag na bhi hai or ha bhi aisa isliye kyoki agar aap ek quality video banate hai to jahir si bat hai aaj ke jamane me koi bhi insan padhne me intrested nhi hai or internet data ki kami to jio ne hone nhi di hai to wo log video ko he dekhene magar aisa nhi hai agar aap ek quality content likhte hai to chahe koi youtubers uspar kitna bhi video bana le agar ek bar aapke visitors ko aapke upar bharosa hogya to wo video ko chod kar aapke article ko h padhega .

Kya Youtuber Ki Life Achi Hai Or Bloggers Ki Nhi ?


dekhiye ye ek aisa topic hai yaha bloggers aasani se baji mar lete hai ek bat ka dhyan dijiyega agar aapka channel ek brand ban chuka hai jisse log aapke channel ko nhi aapke bare me achi tarah jante ho tab aapko youtube par se koi nhi hata sakta hai.

man lijiye aapke channel par 500k subscribers hai or aapke channel par koi invalid click kar deta hai to ye to confirm hai ki adsense aapka account wapas nhi derha or kahi channel terminate hogya to aapka pura carreer wahi khatam hogya magar agar aap blogger hai to aapko tention leni ki koi bat nhi hai agar aapka adsense disible bhi ho jata hai fir bhi aapke pass aapka website + traffic to hoga aap kahi se bhi paisa kama sakte ho .

Bloggers Ko Traffic Kyo Nhi Mil Raha Hai ?


ab ye hai main topic kyoki bahut sare log bol rahe hai ki unke website par pahle 5k traffic aata tha magar ab sirf 3k traffic ya usse kam aarha hai kya ye sab google ke new algorithum ke baad aarha hai to mai aapko batana chahta hu ki bilkul nhi agar aap blogger ho to aapko har dam apne website ko lekar active rahna padega .

jaisa ki aap sabhi log jante hai pahle website ya adsense ke bare me kitne logo ko pata tha sirf kuch logo ko magar ab dekhiye bacha bacha iske bare me jaan chuka hai to aise me har insaan same topic par article likh raha hai aise me old bloggers ki value dhire dhire khatam horhi hai.

agar aapko apna traffic wapas lana hai to ek powerfull comback kijiye backlinks , social signals , quality articles , etc . ke sath tab dekhiye aapka website kaha se kaha pahuch jata hai .

New Bloggers Apne Website Me Kya Galti Kar Rahe Hai ?


jab aap ek new website banate hai to aapko sabse apne website par traffic lane par dhyaan dena chahiye na ki paisa kamane par ek baar aapka website ek brand ban jaye uske baad aapke paas paiso ki kami nhi hogi iss bat ko aapko samjhna padega maine bahut se newcomerrs ko ye galti karte hue dekha hai or unhe barbaad hote hue bhi dekha hai agr aapko kuch tips chahye to isko follow kare .

sabse pahle aap apne website ke main manu , slides , subscribe box , text quality , images , logo , fevicon , ko ache se bana lijiye uske baad apne website ko search concel me add kar lijiye jaise google , yahoo , bing , etc . me ab aapko apne website par traffic lana hai iske liye aap quality content likhe and backlink + social sign le kar aaye jab aapke website par 5k daily traffic aane lage tab aap ispar adsense ka ads lagauye tab dekhiye blogging ka maza .

also read:
Final Words :-

yaha par hamne blogging se kuch topics par bat kiya hai agar aapko inn sabhi topic se related koi sawal ho to aap log hame comment karke puch sakte hai agar aap apne problems ko hamse share nhi karenge to maaf kijiye ham aapka kuch nhi kar sakte hai

1 comment: